Jane Google Par Free Website Kaise Banaye with munnajeestudio - MUNNA JEE

Latest

hello i am a tricks boy

ads

Monday, February 11, 2019

Jane Google Par Free Website Kaise Banaye with munnajeestudio

Jane Google Par Free Website Kaise Banaye in Hindi

Google Par Website Kaise Banaye
App sabhi ka ek baar fir se Earning Tips In Hindi me swagat hai, me jaanta hu ki aap yahan isliye aaye hai taaki aap seekh sake ki online paise kamane ke liye Google par Website kaise banaye. Or jab website ban jaaye to usse aap earning kaise kare. Online earning me apke paas sabse pehle ek website honi chahiye jahan par log apke articles padhne ke liye aaye taaki usse apki earning ho sake.
Par jab website banane ki bari aati hai to jo sabse pehle sawal hamare dil me uthata hai vo hota hai ki akhir Website kaise banaye. To aaj aap is article me yahi sikhenge ki Google par webite kaise banaye or vo bhi bilkul free.

Google Par Website Kaise Banaye:

Pehle ke samay se aaj ke samay me ek website banana bahut hi jaada asaan ho chuka hai, or yadi aap sochte hai ki bina paise ke website nahi banayi jaa skti hai to aap galat soch rahe hai. Yadi apke paas paise nahi hai to bhi aap google par free website bna kar paise kma skte hai. To chaliye apko batate hai ki akhir Google Par Website Kaise Banaye.

Step 1:

Sabse phle google.com open kar ke vaha par search kare blogger.com or jo bhi pehla result ayega uspe click kar de. Jaisa ki uper image me dikhaaya gya hai. Or next page ko open kar le.

Step 2:

Uske baad apke samne uper jo dikh rha hai vesa hi ek page samne ayega or aap jaha likha hua hai create your new blog waha par click kar de. Or uske baad next page open kar kar le.

Step 3:

Uske baad apke samne apki Gmail ki id mangi jayegi aap apni gmail ki id ko yaha par enter kar de or sign in ho jaaye. Or yadi apke paas apni Gmail id nahi hai to aap yahan se seekh skte hai ki Gmail ID kaise banaye.

Step 4:

Iske baad apke samne ek esa page open ho kar ayega, or yadi aap apni Google plus profile blogger me istemal karna chahte hai to aap usko select kar le nahi to aap simple Blogger profile ko select kar ke aage badh  skte hai.

Step 5:

Yahan aap apna vo naam enter kare jo aap sabhi ko dikhaana chahte hai, or fir jab bhi aap koi post apne kisi website par post karoge to usme apka naam vese hi show hoga.
Example: Jaise ki mene apna naam admin rkha hai, to jab bhi me koi post likhta hu to usme mera naam admin hi show hota hai.

Step 6:

Is page ke open ho jaane ke baad aap jaha dikhaya gya hai ki create new blog waha par click kar de or click karne ke baad aap apni new website ya fir blog banane ke liye bilkul ready hai. Or yahan tak pahuchne par apko apke aadhe swal ka jawab bhi mil gya hoga ki google par website kaise banaye.

Step 7:

Yaha par apke samne do option dikhege ek hoga tittle ka or dusra hoga address ka apko confuse nahi hona hai
Title:
Jaha par tittle likha hai waha par aap apni website ka tittle daal de jo bhi aap rkhna chahte hai. Example:  Jaise is website ka tittle hai “Earning Tips In Hindi” to vese hi aap apna koi bhi tittle soch kar apni website ko de skte hai.
Address:
Or jaha par address likha hai waha par aap apni website ka address daal de jaise ki meri website ka address hai earningtipsinhindi.blogspot.com.
Jaise uper url me beech me Blogspot aa rha hai yadi aap ise remove krna chahte hai to apko ek top level domain ki jaroort hogi. to aap yahan se seekh skte hai ki ki domain kaise le or kaise add kare.

Step 8:

Uske baad aap sabhi ke samne esa page open ho jayega, jab aap sabhi ke samne esa page open ho jaaye to aap sabhi samjh jaaye ki apko Google Par Free website Kaise banaye is swal ka jawaab mil gya hai. Abhi aap new post par click kar ke apne article likhna shuru kar skte hai.

Important :

Paise kamane ke liye keval website bna liya yahi kaafi nahi hai aap sabhi ko website ke uper google adsense ya kisi or ads party ke ads lagani padegi taaki jab bhi koi apki website visit kare to vo apki ads bhi dekhe, jab vo apki website par lagi hui ads dekhega to usse apko income hogi. Or aap jaanna chahte hai ki Google adsense account kaise banate hai to neeche diye link par click kar ke seekh skte hai.
  : Google Adsense Account Kaise Banaye
Dosto agr aap me se kisi ko bhi is article me koi porblem aati hai to aap Contact me par click kar ke mujhe directly contact kar ke problem bta skte hai mera whatsapp number bhi apko vehi mil jayega or me apki problem solve krne ki poori kosis karunga. Or facebook page like krna na bhule taaki apko notification mil sake jab bhi koi nyaa article is website par upload ho. 

4 comments: