USA VARIFIED PAYPAL IN PAKISTAN with munnajeestudio - MUNNA JEE

Latest

hello i am a tricks boy

ads

Thursday, February 14, 2019

USA VARIFIED PAYPAL IN PAKISTAN with munnajeestudio

dear friends!

Ham sab jante hai ke Pakistan me internet se paise kamane ka rawaj barhta chala ja raha hai.Or aj hamare bohot se pakistani ptc websitesor advertising companies se achi khasi earning hasil kar rahe hai.
Ye sari advertising companies or ptc sites payza or paypal ke through apni payment karti hai.Sirf payza pakistan ko support karta hai or hamare maximum pakistani bhai payza ke zarye se hi apni raqam nikalwate hai.Lekin payza ka rates bohot mahange hai.
Payza ki nisbat paypalke rates bohot saste hai lekin bad kismati se ye pakistan ko support nahi karta.



Dosto aj mai ap ko 1 aisa tarika batane jaraha hu jis se ap ghar baithe free varifiedpaypal account hasil karsakte hai or apni raqam kisi bhi Standard charterd or MCB bank ke ATM se asani se nikalwa sakte hai.


sab se pehle ap is banner pe click kar ke sign up ho jay or apna freepayoneer master debit card order karen. 


payoneer kya hai?
payoneer america ka 1 online bank hai jo ke ap ko free online banking faraham karta hai. or free payoneer master debit card deta hai. is master card se ap pakistan me standard charted or MCB ke atm me use kar ke apni raqam hasil kar sakte hai.

payoneer card order karne ka tarika:
    payoneer pe kaise sign up hona hai or card kese order karna hai is link pe click kare ap ko sab information mil jay gi.

paypal pe account banane ka tarika:
   Ab ap ne paypal pe apna account banana hai. lekin 1 bat yad rakhe jesa ke mai pehle bata chuka hu paypal pakistan ko support nahi karta. is liye paypal pe account banate wakt ap ne in bato ka khyal rakhna hai.

1.apna country USA select karna hai.
2.apna name bhi kisi angrez ka likhna hai.
3.apna address bhi fake likhna hai or postal
  code bhi USA ke kisi city ka likhna hai           


ap google surch pe USA ke postal code surch kar ke daikh sakte hai. yaha tak ap ka paypal account ban jay ga. lekin wo unvarified hoga. ap apne paypal ko payoneer bank account se varify karna hai. 

paypal ko varify kese karna hai? 
          payoneer account me login ho kar us payment option me jay ap ka account number or routing number likha hoa ay ga.
its your account number and routing number of payoneer
 ap apne us bank account number or routing number ko copy karle. us ke bad ap paypal me login ho or profile me bank account information me jay or waha apna payoneer bank account number or routing number paste karde.


enter payoneer bank account number

paypal ap ke payoneer account me 3 ya 4 din me kuch ammount send kare ga. 
paypal will send you amonut in cets of us dollars
 ap ne wohi ammount apne paypal ke bank account manu me enter karni hai.
enter amount in paypal that you received in payoneer
 jese hi ap wohi amount enter kare ge ap ka paypal varify ho jayga.
Yad rahe ap ne apna payoneer master card number paypal me eneter nahi karna.
jab bhi ap ne paypal se dollars transfer karne hai to apne payoneerbank account me transfer karne hai.

3 ya 4 din me paypal wale  ap ke payoneer bank me dollars transfer karde ge. ap payoneer me lod money ke option pe click kar ke apne money ko card me lod kare or Standard chartered or MCB ke atm se nikal wale.

FAQs
Q :    internet pe paise kin websites se kama sakte hai?
Ans:  internet pe ap ptc sitesadf.ly, google adsense se achi 
         khasi raqam kama sakte hai. 

Q :    Paypal pakistan ko support ku nahi karta?
Ans:  is ki waja to ab tak pata nahi laikin kuch logo ka kehna 
         hai ke paypal israil ki company hai shayad is liye.

Q :    Payoneer master card kitne din tak mere ghar pohoch
         jayga? 
Ans:  Payoneer card approve hone ke 40 din ke andar ap ke
         address pe pohoch jay ga.

Q :    payoneer bank ki kya requirment hai?
Ans:  sign up hone ke bad payoneer bank ap ko email send
         kare ga ap ko apna NIC scan kar ke payoneer bank ko
         send karna pare ga.

Q :    Mujhe kaise pata chale ga ke mera payoneer card
         approve ho chuka hai?
Ans:  payoneer bank ap ko card approval e-mail send kare
          ga.

Q :    Payoneer card transiction ke kya charges hai?
Ans:  payoneer 1st transaction par $25 charge kare ga or us
         bad $3 per transaction or balance inquiery par $1
         charge kare ga.

Q :    Kia payoneer ka koi referral program hai?
Ans:  Ji bilkul payoneer ne apna 1 referral program banaya
          hai jis se ap $25 per referral hasil kar sakte hai. referral
          program ke bare me janne ke liye yaha click kare.

Q :    agar paypal walo ko pata chal jay ke mai pakistani hu to
         mera account suspend to nahi karege?
Ans:  janab ap un ke liye 1 USA ke citizen hai. or ab tak 
         bohot se pakistani is tarike ko use kar rahe hai or abhi
         tak is me koi problems nahi ai.

Ok friends agar ap ko paypal, ya payoneer se related kisi bhi kisam ka problem ho to ap mujhe is e-mail pe mail kar sakte hai. with in 24 hrs ap ko ap ke question ka solid answer mil jay ga.

No comments:

Post a Comment